Nissan X-Trail: Versatile Adventure SUV “Soon Launching In India”

Nissan X-Trail Sunne ma aya hai, ky India ma ak Nissan X- Trail new model launch hone ja rha hai, jis ki expected date August 2024 btayi ja rhi hai, ye Garhi pehly models sy boht achi look ma design ki gyi hai, Nissan X-Trail ki expected Price 26, lakh to 40, lakh btayi ja rhi hai.

To ayen iske bary ma mazeed jan lety hai.

Read more: Lamborghini Urus SE: Exclusive High-Performance SUV

Key Specifications & Features

Engine Options

Petrol Engine: displacement 1,497 cc, configuration Inline-4, max power approximately 142 bhp at 4,000 rpm, max torque  200 Nm at 2,000 rpm transmission automatic.

Diesel Engine: displacement 1,995 cc, configuration Inline-4, max power 142 bhp at 4,000 rpm, max torque  200 Nm at 2,000 rpm transmission manual.

Design & Comfort: Nissan X Trail ko bht barpur tariky sy design kiya gya hai, is ma ak jadeed asri design hai, jo iski khubsurti ko barhata hai, ye garhi ko ander sy b bht shandar design kiya gya hai, jo ander sy boht aram dy mahsos hoti hai, is garhi ma 7 musafir aram sy beth sakty hai.

Doors Design: is Garhi ma waseeh khulne waly pichly durwazy hai, pichly doors takreban 80 degrees per khulty hai, jis sy asani sy dakhlay or bahir niklne ki ijazat milti hai, isi trah agay or pichy waly doors ma ak alla kism ka security system majud hai, jo garhi ki hifazat krne ma madad dety hai.

Wheels: Nissan X Trail ma aam tor per 18-inch ky aluminum alloy wheels hoty hain, jo andaz or kargirdgi ka tawazan farahum karty hai, or garhi ko road per ak achy design ma obarty hain, jis sy garhi ki shape ma namaya azafa hota hai.

Backlights: is Garhi ma stylish or functional tail lights hai, jo iske majmuyi design or hifazat ko barhati hai, is Garhi ki lights ma boomerang design majood hai, jo roshan roshni or jadeed shakal farahum karti hai. or garhi ky design ma azafa krti hai.

LED Headlights: Nissan X Trail jadeed LED headlights sy less hai, jo iski jamalyati kashish or faliyat dono ko barhati hai, LED headlights ak cheeknay design ma hisa daalti hai, jis sy Nissan X Trail ko road per ak makhsos or sagela shakal milti hai. or iski roshni rat ky waqt dor tak asar andaz hoti hai.

Side Mirrors: is garhi ma achi trah sy design kiye gay side mirrors hain, jo garhi ky style ma namaya azafa karty hain, drivers apni hifazat ky sath sath garhi ki hifazat ky liye isko set kar ky apni nazar dor tak dohra skta hai.

Bumpers: Nissan X Trail ma do mazbot or stylish bumpers hai, jo bht aham kardar ada karty hai, agly or pichy waly bumpers ko mazeed design pura krne ky liye design kiya gya hai, jo garhi ki hifazat ky sath sath ak majmuyi shakal dety hai.

Price & Launch: Nissan X Trail new model ky bht jald India ma launch hone ki peshangoyi ho chuki hai, jo ky iski estimated launch date August 2024 btayi ja rhi hai, or expected Price/ 26, Lakh sy 40, Lakh ky darmiyan hai.

Read more: Lamborghini Urus SE: Exclusive High-Performance SUV

Leave a Comment